| 1. |
Poster on hindi lesson maa mujhe aane de |
|
Answer» Answer: maa mujhe aane de dar mat aane de falungi tare angan me hariyali ban kr liptungi tare aanchal me khushbu bn kr meri kilak aur thumakte kadmo me bikhar jayega jo pasra he pita ke dambh bhai ki udandta ke karan sadiyon se. ponch dungi andhera jo tere mathe ki silvaton me simta he kabhi kabhi jhar jata he os ki bundon sa aankhon ki koron se. aane to de dhul jayega SARA ka sara rukhila ahsas akdila mijaj jo chipka he ghar ki sari ki sari diwaron band darvajon khidkiyon me. teri aankhon me tarte ye samunder ye aasman ke aks mane dekh liya he maa maa ja sakti hu me dur paar us jhilmilati duniya me la sakti hu vahan se chamkile tukde tere sapnoke samunder ki lahron ke thapedon me dhund sakti hu me moti sippy aur navikon ke kisse me sb kutch jo ROSHNI sa chamkila rangon sa chatkil ho par aane to de dar mat maa mujhe aane de. Hope it helped u..✌️✌️ |
|