1.

Paan Wale Ka rekhankit Chitra

Answer» Paan wale ki dukaan chorahe par lagi neta ji ki murti ke saamne thi. Paan wale ka rang kala tha. Vhh shreer se mota tha. Uski aakhe hasti hui thi. Uski tond nikli hui thi jab vhh kisi baat par hasta to uski tond gaend ki trh upar niche hilti thi. Vhh savbhav se khush mizaz tha. Baar baar paan khane se uske daant laal kale ho gye the. Vhh koi bhi baat krne se pahle muuh me rakhe paan ko niche thukta tha. Ye uski aadat ban chuki thi. Paan wale ke paas har kisi ki jaankari rahti thi. Jise vhh rsile andaaj me dusro ke saamne parstut krta tha.


Discussion

No Comment Found