1.

Jangl ki suaksha par anuchade

Answer» Jungleonka hazaaro sadiyin se nivas hone se pruthvi per sajiv shrushti ka samatol rakha gaya hai. Badhati huyi aabadi aur manav ki pragati se hum in jungalon per atyachaar ker rahe hai. Aaj hum junglon per nhi , jungle hum per nirbhar hai. Pradushan aur jagah ki mangon ke liye hum jungle nashta karte ja rhe hai aur apane hi pairon per kulhadi maar rhe hai. Aaj jab tapmaan mein harroj badhotari ho rhi hai, bhuskhallan se jamin deh rhi hai, bhukamp aur sunami jaisi aappattiyan aa rhi hai. Junglon se hum apna aaj aur kaal behtaar ker sakte hai. Humein chahiye ke manav apani jarooratein kam kerein aur apne aaspaas ke nisarg ka rakshan karein. Pratyek vyakti bas 1 ped lagayein aur use acchi tarah bada karin. Samaj mein aise kai log hai jo junglon ka nirmaan banjar jameenon per ker rhe hai. Aao hum unka haath batayein. Junglon ka sanmaan kare aur unki ahmiyat samjh ker unka sanrakshan karein. Junglon ka vikas hi manav jaati ka vikaas hai.


Discussion

No Comment Found